9.5.11

Aligarh Muslim University Tarana

Ye mera chaman hai mera chaman, main apne chaman ka bulbul hun
Sar-shaar-e-nigah-e-nargis hun, paa-basta-e-gesu-e-sumbul hun

Ye mera chaman hai mera chaman, ye mera chaman hai mera chaman
Main apne chaman ka bulbul hun

Jo taaq-e-haram mein roshan hai, wo shama yahan bhi jalti hai
Is dasht ke goshe goshe se, ek joo-e-hayat ubalti hai
Ye dasht-e-junoon deewanon ka, ye bazm-e-wafa parwanon ki
Ye shahr-e-tarab roomanon ka, ye khuld-e-bareen armanon ki
Fitrat ne sikhai hai ham ko, uftaad yahan parwaaz yahan
Gaaye hain wafa ke geet yahan, chheda hai junoon ka saaz yahan

Ye mera chaman hai mera chaman, main apne chaman ka bulbul hun

Is bazm meiN taigheiN khencheen hain, is bazm meiN saghar tode hain
Is bazm meiN aankh bichhai hai, is bazm meiN dil tak jode hain
Har shaam hai shaam-e-Misr yahan, har shab hai shab-e-Sheeraz yahan
Hai saare jahan ka soz yahan aur saare jahan ka saaz yahan
Zarraat ka bosa lene ko, sau baar jhuka aakaash yahan
Khud aankh se ham ne dekhi hai, batil ki shikast-e-faash yahan

Ye mera chaman hai mera chaman, ye mera chaman hai mera chaman
Main apne chaman ka bulbul hun

Jo abr yahan se uthega, wo saare jahan par barsega
Har joo-e-rawan par barsega, har koh-e-garan par barsega
Har sard-o-saman par barsega, har dasht-o-daman par barsega
Khud apne chaman par barsega, ghairon ke chaman par barsega
Har shahr-e-tarab par garjega, har qasr-e-tarab par kadkega

Ye abr hamesha barsa hai, ye abr hamesha barsega
Ye abr hamesha barsa hai, ye abr hamesha barsega
Ye abr hamesha barsa hai, ye abr hamesha barsega
Barsega, barsega, barsega…………………..
tayyabshahidamu.com/amutarana

No comments:

Post a Comment